Sunday, October 16, 2005

Aabaad Karo khandhar (in hindi)

Woh dil se karti hai bayan
mera ek ghar tha yahan.
Pahad se nadi behti thi jahan.
Woh dhoodti hai bhai kee chapal.
Ek soorahi, aur gudiyon ka makaan.
Is khandar mein kon lotayega uski hansi.
Dur tak koyee aadmi bacha nahi jahan


Behta paani talaashta hai
Ek naya rasta
Toote pahad bhi nahi
Rok sakte uski fitrat.
Aadmi bhi aaj
Jaalata hai ek diya
Is veerane kee
Cheekh ko cheerta hua.


Haree vadiyon mein basa hai
Mera ek sundar gaon
Dekhna hai to phavde chalao
Ek naya nalanda shahar
Is khandar mein daba hai
Ek sanskriti bayan karta hai.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home